to kyā ye āḵẖirī ḵẖvāhish hai achchhā bhuul jāūñ
तो क्या ये आख़िरी ख़्वाहिश है अच्छा भूल जाऊँ
तो क्या ये आख़िरी ख़्वाहिश है अच्छा भूल जाऊँ
जहाँ भी जो भी है तेरे 'अलावा भूल जाऊँ
तो क्या ये दूसरा ही 'इश्क़ असली 'इश्क़ समझूँ
तो पहला तज्रबे की ज़ैल में था भूल जाऊँ
तो क्या इतना ही आसाँ है किसी को भूल जाना
कि बस बातों ही बातों में भुलाता भूल जाऊँ
कभी कहता हूँ उस को याद रखना ठीक होगा
मगर फिर सोचता हूँ फ़ाएदा क्या भूल जाऊँ
तो क्या ये दस्तरस इक रोज़ हासिल होगी मुझ को
कि हर पल ध्यान में रक्खूँ उसे या भूल जाऊँ
ये कोई क़त्ल थोड़ी है कि बात आई गई हो
मैं और अपना नज़र-अंदाज़ होना भूल जाऊँ
हैं इतनी जुज़इयात इस सानहे की पूछिए मत
मैं क्या क्या याद रक्खूँ और क्या क्या भूल जाऊँ
कोई कब तक किसी की बेवफ़ाई याद रक्खे
बहुत मुमकिन है मैं भी रफ़्ता-रफ़्ता भूल जाऊँ
तो क्या ये कह के ख़ुद को मुतमइन कर लोगे जव्वाद
कि वो है भी इसी लाइक़ लिहाज़ा भूल जाऊँ
to kyā ye āḵẖirī ḵẖvāhish hai achchhā bhuul jāūñ
to kyā ye āḵẖirī ḵẖvāhish hai achchhā bhuul jāūñ
jahāñ bhī jo bhī hai tere 'alāva bhuul jāūñ
to kyā ye dūsrā hī 'ishq aslī 'ishq samjhūñ
to pahlā tajrabe kī zail meñ thā bhuul jāūñ
to kyā itnā hī āsāñ hai kisī ko bhuul jānā
ki bas bātoñ hī bātoñ meñ bhulātā bhuul jāūñ
kabhī kahtā huñ us ko yād rakhnā thiik hogā
magar phir sochtā huñ fāedā kyā bhuul jāūñ
to kyā ye dast-ras ik roz hāsil hogī mujh ko
ki har pal dhyān meñ rakkhūñ use yā bhuul jāūñ
ye koī qatl thoḌī hai ki baat aāī gaī ho
maiñ aur apnā nazar-andāz honā bhuul jāūñ
haiñ itnī juziyāt is sānahe kī pūchhiye mat
maiñ kyā kyā yād rakkhūñ aur kyā kyā bhuul jāūñ
koī kab tak kisī kī bevafāī yād rakkhe
bahut mumkin hai maiñ bhī raftā-raftā bhuul jāūñ
to kyā ye kah ke ḵẖud ko mutma-in kar loge javvād
ki vo hai bhī isī lāiq lihāzā bhuul jāūñ
- जव्वाद / Jawwad -
कठिन शब्दों के अर्थ (Word Meanings)
- ज़ैल (zail): श्रेणी, सूची, अंतर्गत (Category/Under)
- दस्तरस (dast-ras): पहुँच, अधिकार, क्षमता (Reach/Access)
- सानहे (sānahe): हादसा, दुर्घटना (Tragedy/Incident)
- जुज़इयात (juziyāt): बारीकियाँ, विवरण (Details/Minutiae)
- रफ़्ता-रफ़्ता (raftā-raftā): धीरे-धीरे (Gradually)
- मुतमइन (mutma-in): संतुष्ट, इत्मीनान में (Satisfied)
- लिहाज़ा (lihāzā): इसलिए, अतः (Therefore)
Join the conversation